*********************************
Tanhaayi me teri yaadein,
Mehfil ka rang bhar jaati hai,
Mehfil me wohi yaadein,
Hame tanhaa kar jaati hai.....!
*********************************
Hothon pe ibaadat bhari hai,
Aankho me chaahat gehri hai,
Hai to woh sahemi si ek ladki,
Jaane kyo lagti woh paree hai...
*********************************
Jhulas jaoge is aag se,
Chingario se khelna chhod do....
Bahek jaaoge in baaton mein,
Yu paas aana chhod do..!
*********************************
Kaash hote kuchh fasaane bayaan,
Ya fir afsaana hi hai naam inkaa....!
Kaash hote kuchh sawaalo ke jawaab,
Ya fir 'kaash' hi hai jawaab inkaa....!
*********************************
Shaayaro Ke Khauf Se,
Chhoda Hamne Har Shahar,
Anjaan The Ke Zindaa Hai Yaha,
Har Shakhsh me ek Shaayar..!
*********************************
कुछ आहट है हवाओं में,
जाने कौन आया है ?
या कुछ भूली-बिसरी यादों ने,
फिर दरवाजा खटखटाया है ?
गुजारिश है न दस्तक दो तुम यहाँ,
बड़ी मुश्किलों से घर बसाया है !
छुपा लेता हूँ आने वाले कल को दिल में,
जैसे आज को अपने कल से बचाया है !