*********************************
Tanhaayi me teri yaadein,
Mehfil ka rang bhar jaati hai,
Mehfil me wohi yaadein,
Hame tanhaa kar jaati hai.....!
*********************************
Hothon pe ibaadat bhari hai,
Aankho me chaahat gehri hai,
Hai to woh sahemi si ek ladki,
Jaane kyo lagti woh paree hai...
*********************************
Jhulas jaoge is aag se,
Chingario se khelna chhod do....
Bahek jaaoge in baaton mein,
Yu paas aana chhod do..!
*********************************
Kaash hote kuchh fasaane bayaan,
Ya fir afsaana hi hai naam inkaa....!
Kaash hote kuchh sawaalo ke jawaab,
Ya fir 'kaash' hi hai jawaab inkaa....!
*********************************
Shaayaro Ke Khauf Se,
Chhoda Hamne Har Shahar,
Anjaan The Ke Zindaa Hai Yaha,
Har Shakhsh me ek Shaayar..!
*********************************
कुछ आहट है हवाओं में,
जाने कौन आया है ?
या कुछ भूली-बिसरी यादों ने,
फिर दरवाजा खटखटाया है ?
गुजारिश है न दस्तक दो तुम यहाँ,
बड़ी मुश्किलों से घर बसाया है !
छुपा लेता हूँ आने वाले कल को दिल में,
जैसे आज को अपने कल से बचाया है !
5 comments:
cool sayari...it seems you wrote them...good work
sabdo ka achha tana bana bun leto ho aap,
kyon zindagi ki gehrai se sirf gum chunte ho janab,
beete huye kal main mano zindgi ruk si gayee ho,
maaf karo nadaano ko, aur age badkar chhulo zindgi ka har ek khawab !!
Kasam se kehte the hum,
Ke nahi jeena unke bina..
Par sach kehte the log,
zindagi sikhaa deti hai zindaa rehnaa..!
Kal tak soch rahe the hum,
ki kyaa maqsad hai zindagi ka?
Aap se milkar jaanaa hamne,
ki bas zindaa-dili se use jeenaa..!
Bas yahi andaaz-e-guftgoo hum jaante hain,
Shayaron ka mizzaaz thoda hum bhi pehchante hain,
Hum se milkar, mazaa to aana hi tha,
Kyon ki doston ke rang mein rang jaane ko hi hum dosti maante hain...
Aahat hain hawaon main,
Aapka purana dost aaya hain,
bhuli bisri yaadon se kuch khusiya churakar laya hain,
vada karo aawaj doge zindagi ki har dastak ko,
Bite huye kal se kya darna,Is kal ne hi to hamara Aaj banaya hain..
Post a Comment